[From "Resonance" Journal of science and Education (published by Indian Academy of Sciences)]
Presyn likhne ki tammanna abb humare dil main hai
Dekhna hai jor kitna apni research work main hain
Waqt aanay dey bata denge tujhe aye RPC (resrearch progress commitee)
Hum abhi se kya batayen kya ke kitne paper review main hain
Khainch kar layee hai hum ko PhD khatam karne ki ummeed
Presyn likhne ki tammanna abb humare dil main hai
Hai liye correction guide tak main khada hua
Aur hum taiyyaar hain draft copy hath main liye hua
Khoon se likhenga agar ek aur corrected report mang li
Presyn likhne ki tammanna abb humare dil main hai
Schol jo band ho jati hai to uth jata hai PhD ka junoon
Sir ko koi yeh samjhaye kya humare dil main hai
Roj yeh sochta hun ki abb acknowledgement hi likhna queue main hai
Presyn likhne ki tammanna abb humare dil main hai
Hum to ghar se nikle hi the sochkar yeh baras
Degree hatheli par hogi tabhi chale rehte the ye qadam
Deptt ke mehmaan lagte hain sab mehfil mein hum
Presyn likhne ki tammanna abb humare dil main hai
Yun khada chamber main guide, nalayak kah raha hai baar baar
Kya tamannaa-e-hoshiyar, kehlwane ki humare dil mein hai
Dimaag main ideas ki toli aur dil main noble pane ka inqlaab
Hosh RPC ke udaa denge humein roko na aaj
Duur reh paaye jo humse dam kahaan PhD mein hai
Presyn likhne ki tammanna abb humare dil main hai
Wo research bhi kya research hai jismein na baha ho khoon-e-junoon
Toofaanon se kya lade jiska guide uski side mein hai
Presyn likhne ki tammanna abb humare dil main hai
Dekhna hai jor kitna apni research work main hain
© Copyright Sushant Sharma